pahle tha mohabbat ka guman so wo yaqin hai be-tabi-e-dil hae ye be-wajh nahin hai ai wae tere rukh pe usi waqt nazar ki jab dekh liya teri nazar aur kahin hai jab tak the teri bazm mein dekha kiye tujh ko aur ab jo nazar hai nazar-e-baz-pasin hai akasr nazar aata hai teri bazm mein 'hamid' duniya ye samajhti hai ki wo gosha-nashin hai