paikar-e-sang-o-ahang jaisa tanha khada hun waise to andar tuta phuta hun salim lagta hun waise to zehn ki aankhon par danista patti bandhe baitha hun sab kuchh dekh raha hun sab kuchh samajh raha hun waise to kal gumnami ki gahri khai mein bhi gir sakta hun shohrat ki unchi choti par aaj khada hun waise to bas ek munafiqat hai jis ki neamat se mahrum hun main mere yaro main bhi bilkul tum jaisa hun waise to apne badan ki qaid se lekin chhutkara na-mumkin hai bahar ki sari diwaren tod chuka hun waise to jo tariki mere apne andar thi so qaem hai galiyon galiyon chand sitare bant raha hun waise to