pani mit kar bhi rah gaya pani hue kya baat kah gaya pani kat gaya bund bund mein patthar chot patthar ki sah gaya pani khwab bhi barf ke gharaunde the jab khuli aankh rah gaya pani shor kitna kiya tha lahron ne ek tufan mein bah gaha pani zindagi nam hai rawani ka jate jate ye kah gaya pani hum nazaron ko dekhte hi rahe pul ke niche se bah gaya pani