paniyon se ret par jo aa gaya meri tarah zindagi ki dhup mein jalta raha meri tarah us ke honton se bhi amrit ki mahak aane lagi ghaaliban zahr-e-halahal pi liya meri tarah aap ko wo apni rahmat se nawazega zarur sidq-e-dil se mangiye bhi to dua meri tarah koi parde se nikal kar samne aa jaega shart lekin ye hai tum bhi dekhna meri tarah sahilon ki qaid se aazad ho sakta hai tu apne dariya mein koi tufan utha meri tarah kufr-o-baatil ki safon ko chir kar bahar nikal nam apna haq paraston mein likha meri tarah anjuman-dar-anjuman tafriq-e-khas-o-am hai hai koi jo raaz kah de barmala meri tarah