partaw-e-rukh ka tere dil mein guzar rahta hai sath aaine ke aaine ka ghar rahta hai aaj-kal josh pe ye dida-e-tar rahta hai mardum-e-shahr ko tufan ka dar rahta hai qatl-e-ushshaq unhen madd-e-nazar rahta hai nimcha aath-pahr zeb-e-kamar rahta hai soz-e-ulfat ka hai parwana dil-e-bazm apna ye wo pamba hai nihan jis mein sharar rahta hai bazm-e-ulfat mein qadam rakhte hain jo log apna shama ki tarah kaf-e-dast pe sar rahta hai chashm-e-maigun se hai saqi ki mohabbat jis ko nashsha-e-mai mein wo chor aath-pahr rahta hai qaul-o-iqrar pe kyun chhod diya dahan-e-yar is nadamat se gareban mein sar rahta hai ab to dam-bhar unhen fursat nahin aaraish se aaina aath-pahr pesh-e-nazar rahta hai kushta-e-tegh-e-nigah talib-e-didar rahen chashm-e-jaanan ko ye manzur-e-nazar rahta hai ye bhi hain us falak-e-husn ke juya meri tarh chand suraj ko jo din-raat safar rahta hai jab bigadte hain to manne ka wo lete nahin nam pahron apna qadam-e-yar pe sar rahta hai bela batenge sawari mein kisi gul ke ye kya ghunchon ki mutthiyon mein kis liye zar rahta hai main wo diwana hun jab fasl-e-bahaar aati hai mere virane mein pariyon ka guzar rahta hai wasl ki shab bhi nahin chain se katne pati har-dam aazurdagi-e-yar ka dar rahta hai dekhne wale samajhte hain abas tar-e-nazar meri aankhon mein tera mu-e-kamar rahta hai ghair ke bas mein 'qalaq' kyun na ho wo sim-badan qabu-e-yar mein ganjina-e-zar rahta hai