pech rakhte ho bahut sahibo dastar ke bich

pech rakhte ho bahut sahibo dastar ke bich
hum ne sar girte hue dekhe hain bazar ke bich

baghbanon ko ajab ranj se takte hain gulab
gul-farosh aaj bahut jama hain gulzar ke bich

qatil is shahr ka jab bant raha tha mansab
ek darwesh bhi dekha usi darbar ke bich

kaj-adaon ki inayat hai ki hum se ushshaq
kabhi diwar ke pichhe kabhi diwar ke bich

tum ho na-khush to yahan kaun hai khush phir bhi 'faraaz'
log rahte hain isi shahr-e-dil-azar ke bich


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close