phir aaj dard se raushan hua hai sina-e-KHwab

phir aaj dard se raushan hua hai sina-e-khwab
saja hua hai mere zakhm se madina-e-khwab

khizan ki fasl mein jo rizq-e-wahshat-e-shab tha
luta raha hun sar-e-shab wahi khazina-e-khwab

musafiran-e-shab-e-gham tumhaari khair to hai
tadakh ke tut gaya kyun mera nagina-e-khwab

haqiqaton ke bhanwar se koi nikale phir
rawan kare meri jaanib koi safina-e-khwab

bana diya teri sohbat ne be-adab in ko
koi sikhae in aankhon ko ab qarina-e-khwab

koi to ho ki jo mujh ko fareb-e-paiham de
wo koi husn-e-haqiqat ho ya hasina-e-khwab

ye aankh hai hama-dam gardish-e-tajassus mein
talash karti hai mujh mein koi dafina-e-khwab

fishaar-e-nim-shabi se ab in dinon 'shahid'
hai chaak chaak meri jaan qaba-e-sina-e-khwab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close