phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman mujh ko phir naghmon pe uksane laga murgh-e-chaman phul hain sahra mein ya pariyan qatar andar qatar ude ude nile nile pile pile pairahan barg-e-gul par rakh gai shabnam ka moti baad-e-subh aur chamkati hai us moti ko suraj ki kiran husn-e-be-parwa ko apni be-naqabi ke liye hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban apne man mein dub kar pa ja suragh-e-zindagi tu agar mera nahin banta na ban apna to ban man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq tan ki duniya tan ki duniya sud o sauda makr o fan man ki daulat hath aati hai to phir jati nahin tan ki daulat chhanw hai aata hai dhan jata hai dhan man ki duniya mein na paya main ne afrangi ka raj man ki duniya mein na dekhe main ne shaikh o barhaman pani pani kar gai mujko qalandar ki ye baat tu jhuka jab ghair ke aage na man tera na tan
Please share if you liked this!!!