phir faza mein koi zahrila dhuan bhar jaega phir kisi din apne andar kuchh na kuchh mar jaega phailta jata hai ye jo har-taraf ek shor sa ek sannata kisi dahliz par dhar jaega yun raha to sare manzar bad-numa ho jaenge ek bhayanak rang har taswir mein bhar jaega kar raha hai apni basti mein jo khushiyon ki talash koi tikha dard apne sath le kar jaega yun achanak bhi hua karta hai koi hadisa mujh ko kya malum tha wo is tarah mar jaega chha gai nafrat ki gahri dhund itni dur tak pyar ka suraj wahan tak kaun le kar jaega rah-rau ab tak khade hain rah mein is aas par koi aaega idhar aur kuchh na kuchh kar jaega