phir hunar-mandon ke ghar se be-hunar jata hun main tum khabar be-zar ho ahl-e-nazar jata hun main jeb mein rakh li hain kyun tum ne zabanen kat kar kis se ab ye ajnabi puchhe kidhar jata hun main han main saya hun kisi shai ka magar ye bhi to dekh gar taaqub mein na ho suraj to mar jata hun main hath aankhon se utha kar dekh mujh se kuchh na puchh kyun ufuq par phailti subhon se dar jata hun main bas yunhi tanha rahunga is safar mein umr bhar jis taraf koi nahin jata udhar jata hun main khauf ki ye intiha sadiyon se aankhen band hain shauq ki ye ablahi be-baal-o-par jata hun main 'arsh' rasmon ki panah-gahen bhi ab sar par nahin aur wahshi raston par be-sipar jata hun main