phir to is be-nam safar mein kuchh bhi na apne pas raha

phir to is be-nam safar mein kuchh bhi na apne pas raha
teri samt chala hun jab tak samton ka ehsas raha

teri gali mein tut gae sab jurm-o-saza ke paimane
ek tabassum dekhne wala sari umr udas raha

gulchin ke chehre ki rangat roz badalti rahti thi
ranj-o-khushi ke har mausam mein phul ka ek libas raha

jin ki dard-bhari baaton se ek zamana ram hua
'qasir' aise fan-karon ki qismat mein ban-bas raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close