phir usi rahguzar par shayad

phir usi rahguzar par shayad
hum kabhi mil saken magar shayad
jin ke hum muntazir rahe un ko
mil gae aur ham-safar shayad
jaan pahchan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar shayad
ajnabiyat ki dhund chhat jae
chamak uthe teri nazar shayad
zindagi bhar lahu rulaegi
yaad-e-yaran-e-be-khabar shayad
jo bhi bichhde wo kab mile hain 'faraaz'
phir bhi tu intizar kar shayad
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close