phul ka khilna bahut dushwar hai mausam-e-gul aaj-kal bimar hai be-wasila baat ban sakti nahin mil gai kashti to dariya par hai aansuon ka aur matlab kuchh nahin mukhtasar si surat-e-izhaar hai dosti ka raaz ifsha kar gai dushmani bhi ek bada kirdar hai hum safine ke liye ek bojh hain hum agar dube to beda par hai zindagi ki razm-gahon mein 'zuhair' sarfaroshi aakhiri tyauhaar hai