phul ki rangat maine dekhi dard ki rangat dekhe kaun

phul ki rangat main ne dekhi dard ki rangat dekhe kaun
pyar ka git suna hai sab ne dhun thi kaisi soche kaun

dhup ne tan-man phunk diya to sae mein aa baitha tha
shakh shakh mein aag chhupi hai ped ke niche baithe kaun

apne dard ko gard samajh kar manzil manzil chhod diya
aaine par dhul jami hai aaine mein dekhe kaun

ang ang se rang rang ke phul baraste dekhe kaun
rang rang se shole barse kaise barse soche kaun

fan tartib ka zewar le kar gulshan gulshan ubhra hai
be-tartibi husn hai jis ka us fankar se uljhe kaun

mere coat ka maila collar aur numayan hota hai
pagal saj-dhaj rakhne wale tere samne baithe kaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close