phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai

phul par os ka qatra bhi ghalat lagta hai
jaane kyun aap ko achchha bhi ghalat lagta hai

mujh ko malum hai mahbub-parasti ka azab
der se chand nikalna bhi ghalat lagta hai

aap ki harf-adai ka ye aalam hai ki ab
ped par shahd ka chhatta bhi ghalat lagta hai

ek hi tir hai tarkash mein to ujlat na karo
aise mauqe pe nishana bhi ghalat lagta hai

shakh-e-gul kat ke tirshul bana dete ho
kya gulabon ka mahakna bhi ghalat lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close