pure qad se main khaDa hun samne aaega kya

pure qad se main khada hun samne aaega kya
main tera saya nahin hun mujh ko samjhaega kya

aandhiyon par ud raha hai jin parindon ka hujum
aasman ki wusaton se laut kar aaega kya

ek nae manzar ka khaka aasman par kyun nahin
chand apni chandni par yunhi itraega kya

fasl-e-gul ke baad patjhad yun to ek mamul hai
khauf ban kar phir dar-o-diwar par chhaega kya

jaanib-e-shahr-e-ghazalan phir chali sham-e-firaq
dasht ki be-khwabiyon ka raazdan aaega kya

khun ki roti safedi be-sada sazon ka shor
be-sar-o-pa git koi be-zaban gaega kya

hai ghazal aazad goya be-dar-o-diwar ghar
hum ko bhi is sinf-e-be-ja ka hunar aaega kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close