pursish hai chashm-e-ashk-e-fasha par na aae harf

pursish hai chashm-e-ashk-e-fasha par na aae harf
duben bhi hum to sail-e-rawan par na aae harf

donon hi apni apni jagah la-jawab hain
apne yaqin pe un ke guman par na aae harf

ai rashk itna wahm-o-guman bhi baja nahin
ehsas-e-qurbat-e-rag-e-jaan par na aae harf

dil na-murad shoala-e-ariz se jal gaya
darte the hum ki soz-e-nihan par na aae harf

hushiyar bazm-e-ghair mein nam un ka aa na jae
ai naghma-sanj josh-e-bayan par na aae harf

tir-e-nigah dil mein taraazu hua to ho
ab tere abruon ki kaman par na aae harf

hum un ke ru-ba-ru rahe is maslahat se chup
mahfil mein apne ijz-e-bayan par na aae harf

ud jae tegh se to rahe sarfaraaz sar
kat jae baat par to zaban par na aae harf

is kashmakash mein teri gali se pare rahe
aae kahan pe harf kahan par na aae harf

'tarzi' tawaf-e-khana-e-khali se khush nahin
bas jao tum to dil ke makan par na aae harf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close