pyar isar wafa sher-o-hunar ki baaten

pyar isar wafa sher-o-hunar ki baaten
ab to lagti hain kisi aur nagar ki baaten

koi surat na rihai ki bani to jaana
hum to diwar se karte rahe dar ki baaten

waqt aaya to zabanon ko bhi jumbish na hui
log karte the bahut tegh ki sar ki baaten

ye hain maghrur parinde unhen darne do abhi
baith jaenge agar chhed den ghar ki baaten

khak se jod liya hai wo talluq ki hamein
ras aati nahin shams-o-qamar ki baaten

panw resham ke gadilon se utarte hi nahin
aur har-waqt hain kanton pe safar ki baaten

aasman dekh ke 'shahin' ye dil chahta hai
koi karta rahe parwaz ki par ki baaten


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close