qadr-e-wafa bhi hogi kisi din jafa ke baad

qadr-e-wafa bhi hogi kisi din jafa ke baad
laega rang-e-khun-e-shahidan hina ke baad

hota hai inqalab jahan har ada ke baad
bebak bhi banoge kabhi tum haya ke baad

lae hain phul ahl-e-mohabbat ki qabr par
kya yaad aa gaya unhen tark-e-jafa ke baad

kabe mein mujh se shan-e-butan puchhte ho shaikh
tauba mein un ka zikr karunga khuda ke baad

un ki kamar ka koi pata hi nahin kahin
ye dusra tilism-e-nazar hai huma ke baad

baithi hai le ke ab mujhe aaghosh mein zamin
aaram se hun kunj-e-lahad mein qaza ke baad

ahl-e-wafa milega na mujh sa jahan mein
pachhtaenge wo 'auj' khud aakhir jafa ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close