qarar dil ko sada jis ke nam se aaya wo aaya bhi to kisi aur kaam se aaya kisi ne puchha nahin lautte hue mujh se main aaj kaise bhala ghar mein sham se aaya hum aise be-hunaron mein hai jo saliqa-e-zist tere dayar mein pal-bhar qayam se aaya jo aasman ki bulandi ko chhune wala tha wahi minara zamin par dhadam se aaya main khali hath hi ja pahuncha us ki mahfil mein mera raqib bade intizam se aaya
Please share if you liked this!!!