qasid aaya magar jawab nahin mere likhe ka bhi jawab nahin khum to hai saqiya sharab nahin aasman hai aur aaftab nahin ban ke but sab wo kah guzarte hain be-dahani tera jawab nahin subh hote wo ghar gae apne ab nikalne ka aaftab nahin nur wo hai ki kuchh nahin khulta hai tere rukh pe ya naqab nahin tur ke zikr par chamak utthe baat ki in buton ko tab nahin garche duniya hai aaina-khana mera sani tera jawab nahin ban gaya hai naqab chehre ki ki utarta kabhi itab nahin rukh se afshan chhuda ke kahte hain aaj taron mein mahtab nahin chand ko raat kya chhupaegi zulf rukh ke liye naqab nahin chadh ke utrengi tewriyan sau bar kuchh ye chadhta hua shabab nahin kuchh nahin mere be-shumar gunah wo agar barsar-e-hisab nahin dhal ke kahta hai chaudhwin ka chand ek shab se siwa shabab nahin mai to dhal kar rahegi ai saqi kuchh ye mashuq ka shabab nahin mai-kada bhi bahisht hai lekin muft milti yahan sharab nahin sun ke ye parde se nikal aae teri taswir ka jawab nahin aah ko sun ke munh chhupate ho ek jhonke ki bhi naqab nahin khatm hoti nahin hawas dil ki ek tufan hai shabab nahin dil jale jab maza hai rone ka mai hai pani agar kabab nahin ishq mein hai 'jalil' la-sani husn mein yar ka jawab nahin