qasid nai ada se ada-e-payam ho matlab ye hai ki baat na ho aur kalam ho baqi hai shauq rah mein kyunkar qayam ho hath aaen un ke panw to manzil tamam ho kya khush ho dil ki hai wo jafa-ju zamin se dur tum kaise aasman ke qaem-maqam ho farman-rawa-e-husn ko hota nahin farogh jab tak na ishq us ka mudar-ul-maham ho 'ahsan' wo sun ke shikwa-e-tashhir kah gae hum jaante hain tum ko bade nek-nam ho