qatl ushshaq kiya karte hain

qatl ushshaq kiya karte hain
but kahan khauf-e-khuda karte hain

sar mera tan se juda karte hain
dard ki aap dawa karte hain

aatish-e-gham ne magar phunk diya
dil se shole jo utha karte hain

jama-e-surkh tera dekh ke gul
pairahan apna qaba karte hain

khun rote hain chaman mein bulbul
hum gulon se jo hansa karte hain

kham-e-abru-e-sanam ko dekhen
hum ye kabe mein dua karte hain

apne saqi ko shab-e-furqat mein
pani pi pi ke dua karte hain

roz do-chaar ka khun karta hai
dast-o-pa surkh raha karte hain

mar gae par hadaf-e-tir hai khak
ja-ba-ja tode bana karte hain

dahan-e-zakhm se hum qatil ke
tegh ko chum liya karte hain

shor-e-mahshar se daren kya aashiq
aise hangame hua karte hain

hote hain dil mein nihayat nadim
khun jo be-jurm kiya karte hain

mehndi malne ke bahane qatil
kaf-e-afsos mala karte hain

ewaz-e-baada gham-e-saqi mein
khun-e-dil apna piya karte hain

panw tak hath na pahuncha us ki
hath haihat mala karte hain

jo hamein bhul gaya hai zalim
us ko hum yaad kiya karte hain

na-tawani ne diye par hum ko
jiwan-e-par-e-kah uda karte hain

hum bane chand ke haale 'goya' hain
gird us mah ke raha karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close