qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise
yani wo main hi kyun na hun tujh sa kahen jise

wo ek nigah ai dil-e-mushtaq is taraf
aashob-gah-e-hashr-e-tamana kahen jise

bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
wo dard dil mein de ki masiha kahen jise

ai husn-e-jalwa-e-rukh-e-jaanan kabhi kabhi
taskin-e-chashm-e-shauq-e-nazara kahen jise

is zoaf mein tahammul-e-harf-o-sada kahan
han baat wo kahun ki na kahna kahen jise

ye bakhshish apne banda-e-nachiz ke liye
thodi si punji aisi ki duniya kahen jise

ham-bazm ho raqib to kyun-kar na chhediye
aahang-e-saz-e-dard ki nala kahen jise

paimana-e-nigah se aakhir chhalak gaya
sar josh-e-zauq-e-wasl-e-tamanna kahen jise

'asi' jo gul se gal kisi ke hue to kya
mashuq wo ki sab se nirala kahen jise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close