qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona

qindil-e-mah-o-mehr ka aflak pe hona
kuchh is se ziyaada hai mera khak pe hona

har subh nikalna kisi diwar-e-tarab se
har sham kisi manzil-e-ghamnak pe hona

ya ek sitare ka guzarna kisi dar se
ya ek piyale ka kisi chaak pe hona

lau deti hai taswir nihan-khana-e-dil mein
lazim nahin is phul ka poshak pe hona

le aaega ek roz gul o barg bhi 'sarwat'
baran ka musalsal khas-o-khashak pe hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close