qismat mein agar judaiyan hain phir kyun teri yaaden aaiyan hain yan jine ki suraten hain jitni wo suraten sab paraiyan hain fariyaad-kunan nahin bas ek main chaaron hi taraf duhaiyan hain har darje pe ishq kar ke dekha har darje mein bewafaiyan hain ek tera bura kabhi na chaha go hum mein bahut buraiyan hain taqrib-e-visal-e-yar hai kya kuche mein tere safaiyan hain us ne bhi kasar koi koi chhodi hum ne bhi bahut sunaiyan hain ab aur kahin ka rukh karen aap is jag mein to jag-hansaiyan hain kaise karen bandagi 'zafar' wan bandon ki jahan khudaiyan hain