qissa kitab-e-umr ka kya muKHtasar hua

qissa kitab-e-umr ka kya mukhtasar hua
rukh dastan-e-gham ka idhar se udhar hua

matam-sara-e-dahr mein kis kis ko roiye
ai wae dard-e-dil na hua dard-e-sar hua

taskin-e-dil ko raaz-e-khudi puchhta hai kya
kahne ko kah dun aur agar ulta asar hua

aazad ho saka na giraftar-e-shash-jahat
dil muft banda-e-hawas-e-baal-o-par hua

duniya ke sath din ki begar al-aman
insan aadmi na hua jaanwar hua

farda ka dhyan bandh ke kahta hai mujh se dil
tu meri tarah kyun na wasi-un-nazar hua

farda ko dur hi se hamara salam hai
dil apna sham hi se charagh-e-sahar hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close