raat kafi lambi thi dur tak tha tanha main

raat kafi lambi thi dur tak tha tanha main
ek zara se roghan par kitna jalta-bujhta main

sab nishan qadmon ke mit gae the sahil se
kis ke waste aakhir dubta ubharta main

mera hi badan lekin bund bund ko tarsa
dast aur sahra par abr ban ke barsa main

adh-jale se kaghaz par jaise harf raushan hon
us ki koshishon par bhi zehn se na utra main

donon shaklon mein apne hath kuchh nahin aaya
kitni bar simta main kitni bar phaila main

zindagi ke aangan mein dhup hi nahin utri
apne sard kamre se kitni bar nikla main

aaj tak koi kashti is taraf nahin aai
paniyon ke ghere mein aisa hun jazira main

katta tha har manzar dusre manazir ko
koi manzar aankhon mein kis tarah se bharta main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close