raaz-e-dil kyun na kahun samne diwanon ke

raaz-e-dil kyun na kahun samne diwanon ke
ye to wo log hain apnon ke na beganon ke

wo bhi kya daur the saqi tere mastanon ke
raste rah taka karte the mai-khanon ke

baadalon par ye ishaare tere diwanon ke
tukde pahunche hain kahan ud ke garebanon ke

raste band kiye dete ho diwanon ke
dher lag jaenge basti mein garebanon ke

na azan deta na hushiyar barahman hota
dar to us shaikh ne khulwae hain but-khanon ke

aap din-raat sanwara karen gesu to kya
kahin haalat badalte hain pareshanon ke

mana kar girya-e-shabnam pe na ye phul hansen
lale pad jaenge ai baad-e-saba jaanon ke

kya zamana tha udhar sham idhar hath mein jam
subh tak daur chala karte the paimanon ke

wo bhi kya din the udhar sham idhar hath mein jam
ab to raste bhi rahe yaad na mai-khanon ke

aaj tak to meri kashti ne na pai manzil
qafile sainkadon gum ho gae tufanon ke

khak-e-sahra pe lakiren hain unhen phir dekho
kahin ye khat na hon likkhe hue diwanon ke

dekhiye charkh pe tare bhi hain kya be-tartib
jaise bikhre hue tukde mere paimanon ke

hath khali hain magar mulk-e-adam ka hai safar
hausle dekhiye un be-sar-o-samanon ke

sar jhukae hue baithe hain jo kabe mein 'qamar'
aise hote hain nikale hue but-khanon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close