raaz jo sina-e-fitrat mein nihan hota hai sab se pahle dil-e-shair pe ayan hota hai sakht khun-rez jab aashob-e-jahan hota hai nahin malum ye insan kahan hota hai jab koi hadsa-e-kaun-o-makan hota hai zarra zarra meri jaanib nigaran hota hai jo nazar-karda-e-sahab-nazran hota hai usi diwane ke qadmon pe jahan hota hai jab koi ishq mein barbaad-e-jahan hota hai mujh ko mahsus khud apna hi ziyan hota hai mutazalzal hai adab-gah-e-mohabbat ki zamin koi dekhe to ye hangama kahan hota hai kahin aisa to nahin wo bhi ho koi aazar tujh ko jis chiz pe rahat ka guman hota hai dil ghani ho to har ek ranj bhi dil ki rahat zehn muflis ho to har sud ziyan hota hai imtihan-gah-e-mohabbat mein na rakkhe wo qadam maut ke nam se jis ko khafaqan hota hai yahi wo manzil-e-dushwar hai jis manzil mein khatm har marhala-e-sud-o-ziyan hota hai har qadam marka-e-karb-o-bala hai darpesh har nafas saneha-e-marg-e-jawan hota hai naz jis khak-e-watan par tha mujhe aah 'jigar' usi jannat pe jahannam ka guman hota hai