rafta rafta aasman utra zamin ke us taraf

rafta rafta aasman utra zamin ke us taraf
main ne boya tha kabhi sabza zamin ke us taraf

is zamin par pyas ki shiddat hui thi kab ayan
kis ne socha tha nihan dariya zamin ke us taraf

aasman ke rang sare hairaton ke aks hain
wo hai ek chehra pas-e-parda zamin ke us taraf

mere hone ka guman is bhid mein hai mubtala
aur main tanha bahut tanha zamin ke us taraf

ek tara tutne ki chah mein bechain hai
muntazir hoga koi bachcha zamin ke us taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close