rah-e-hasti ke har ek moD se bach kar nikle

rah-e-hasti ke har ek mod se bach kar nikle
ahl-e-danish se to diwane hi behtar nikle

waqt ki tez hawaon ne ajab mod liya
phul se hath jo the un mein bhi patthar nikle

teri yaadon ke sahaare jo guzare hum ne
wo hi lamhat faqat apna muqaddar nikle

hum ne ghairon ke bhi ashkon ko liya daman par
chahe khud gham ke samundar mein naha kar nikle

un ki fariyaad ka aahon ka asar hoga
apne hathon se jo ghar apna jala kar nikle

gham zamane ki jafaon ka karen kya 'khalid'
jab gareban hi kanton se saja kar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close