rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe

rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se badhe
kashmakash-e-hayat ke aur bhi hausle badhe

kis se ye puchhiye bhala tishna-labon ko kya mila
kahne ko yun to roz hi saikdon mai-kade badhe

koshish-e-paiham aafrin manzil ab aa gai qarib
muzhda ho aarzu-e-dil panw ke aable badhe

aate hi us ne bazm mein rukh pe naqab dal li
hae wo manzar-e-hasin jaise diye jale badhe

waqt ki aazmaishen lati hain zist par nikhaar
phulon ko dekh lijiye kanton mein jo pale-badhe

tabish-e-husn-e-yar ne chhin li tab-e-arz-e-shauq
jitne qarib aae wo utne hi fasle badhe

rahon ke rukh badal gae manzilen dur ho gain
khizr ke eatibar par jab kabhi qafile badhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close