rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman

rahraw-e-rah-e-kharabaat-e-chaman
aa ki phir ek bar ho ja kohkan

tesha-e-azm-e-jawan daman mein rakh
tu sawar-e-shauq-e-sultani mein fan

koi saya zindagi ka gar mile
chaak-e-gul ho kar pahan lena kafan

didani hai us ke hathon mein inan
shahr mein bante hai jo maghrib ka dhan

aa utha phir saghar-o-mina chalen
phir se ho jae wo pahle sa sukhan

jis mein thi tah-dari-e-mansuriyat
wo anal-haq ka kahan hai bankpan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close