rang kala hai na hai paikar siyah aadmi dar-asl hai andar siyah ab kahan qaus-e-quzah ke daere ab hai ta-hadd-e-nazar manzar siyah kitna kala ho gaya tha us ka dil jism se nikla to tha khanjar siyah waqt ne sanwla diya sara badan dhire dhire ho gaya marmar siyah dhup kafi dur tak thi rah mein lamha lamha ho gaya paikar siyah