rang mausam ke sath lae hain ye parinde kahan se aae hain baith jate hain rah-rau thak kar kitne himmat-shikan ye sae hain dhup apni zamin hai apni ped apne nahin parae hain apne ahbab ki khushi ke liye bila-irada bhi muskurae hain dushmanon ko qarib se dekha doston ke fareb khae hain hum ne toda hai zulmaton ka fusun raushni ke bhi tir khae hain dekh le mud kar mahw-e-araish aaina ban ke hum bhi aae hain pai-ba-pai rah ki shikaston ne hausle aur bhi badhae hain zindagi hai usi ka nam 'ejaz' hain wo apne jo gham parae hain