rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai

rasta kisi wahshi ka abhi dekh raha hai
ye ped jo is rah mein sadiyon se khada hai

ghurbat ke andhere mein teri yaad ke jugnu
chamke hain to rahon ka safar aur badha hai

duniya se alag ho ke guzarti hai jawani
haalan ki ye mumkin nahin purkhon se suna hai

chahat jo junun ke liye zanjir bani thi
aaj us ko bhi wahshat ne meri tod diya hai

yaro na abhi apne thikanon ko sidhaaro
kuchh baat karo raat kate sard hawa hai

ek gham ka alaw hai jise gher ke sab log
baithe hain ki 'rahi' ne naya git likha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close