raushan hai faza shams koi hai na qamar hai shair hun mujhe arsh-e-mualla ki khabar hai dariya mein hain girdab kinare pe bagule aaram ki surat na idhar hai na udhar hai patte ki khadak se bhi larazta hai mera dil sae se bhi khatra mujhe dauran-e-safar hai ek mauj bhi rakhti hai kinare ki tamanna aawara jo phirta hun ye mera hi jigar hai ek tair-e-mahsur asiri ka mukhalif ud sakta hai bazu mein agar ek bhi par hai maujon ko pata kya hai samundar ko khabar kya kis abr ki shokhi hai sadaf mein jo guhar hai kya ashk kisi tutte tare pe bahaun khud apna hi anjam 'falak' pesh-e-nazar hai