raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage

raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage
shahr ke sare makan sare khandar achchhe lage

pahle pahle main bhi tha amn o aman ka mo'tarif
aur phir aisa hua nezon pe sar achchhe lage

jab talak aazad the har ek masafat thi wabaal
jab padi zanjir pairon mein safar achchhe lage

daera dar daera pani ka raqs jawedan
aankh ki putli ko dariya ke bhanwar achchhe lage

kaise kaise marhale sar teri khatir se kiye
kaise kaise log tere nam par achchhe lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close