raushni parchhain paikar aaKHiri

raushni parchhain paikar aakhiri
dekh lun ji bhar ke manzar aakhiri

main hawa ke jhakkadon ke darmiyan
aur tan par ek chadar aakhiri

zarb ek thahre hue pani pe aur
jate jate phenk kankar aakhiri

donon mujrim aaine ke samne
pahla patthar ho ki patthar aakhiri

tutti ek din lahu ki khamushi
dekh lete hum bhi mahshar aakhiri

ye bhi tuta to kahan jaenge hum
ek tasawwur hi to hai ghar aakhiri

dil musalsal zakhm chahe hai 'zafar'
aur us ke pas patthar aakhiri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close