raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya

raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya
kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya

jis ne mera sath chhoda aur kisi ka ho gaya
sach to ye hai mujh se bhi badh kar wo tanha ho gaya

waqt ka ye mod kaisa hai ki tujh se mil ke bhi
tujh ko kho dene ka gham kuchh aur gahra ho gaya

hum ne tanhai ki chadar tan li aur so gae
log jab kahne lage uttho sawera ho gaya

dubta suraj hun main wo mera saya dekh kar
sochta ye hai qad us ka mujh se lamba ho gaya

chand lamhe the jo barson baad tak bite nahin
kuchh baras wo bhi the jin ka ek lamha ho gaya

jab zaban kholi to sab ko nind si aane lagi
chup hue to yun laga har shakhs bahra ho gaya

sath us ka chhod kar aae to ye aalam raha
hum ne jis chehre ko dekha us ka chehra ho gaya

is talluq ko bhala 'azad' main kya nam dun
wo kisi ka ho ke bhi kuchh aur mera ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close