raushni sans hi le le to thahar jata hun ek jugnu bhi chamak jae to dar jata hun meri aadat mujhe pagal nahin hone deti log to ab bhi samajhte hain ki ghar jata hun main ne is shahr mein wo thokaren khai hain ki ab aankh bhi mund ke guzrun to guzar jata hun is liye bhi mera eazaz pe haq banta hai sar jhukae hue jata hun jidhar jata hun is qadar aap ke badle hue tewar hain ki main apni hi chiz uthate hue dar jata hun