rawan hai nur ka ek sail har-bun-e-mu se

rawan hai nur ka ek sail har-bun-e-mu se
mujhe chhua hai kisi ne hazar pahlu se

badal ke rakh diya jangal ko shahr mein us ne
tamam dasht pareshan hai ek aahu se

khuda ke waste ab rok bhi ye raqs-e-junun
sada kuchh aur hi aane lagi hai ghunghru se

unhen main waqt ke kandhe pe dal deta hun
jo bojh uthte nahin mere dast o bazu se

har ek ahd ne likkha hai apna nama-e-shauq
kisi ne khun se likha hai kisi ne aansu se

mera sawal ghazal ke mukhalifin se hai
mujhe nikal ke dikha den ghazal ke jadu se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close