rishton ko jab dhup dikhai jati hai

rishton ko jab dhup dikhai jati hai
cigarette se cigarette sulgai jati hai

jism hamara ek aisi mil hai jis mein
andhiyaron se dhup banai jati hai

na se us ki shakl milane lagta hun
jab us ki aawaz sunai jati hai

kya wo panne sach-much kore hote hain
jin par koi zarb lagai jati hai

bulle-baba diwano ko samjhao
apni hasti kaam mein lai jati hai

apni mitti apna pani wapas le
sunte hain ye shai lautai jati hai

patthar le kar aate hain sab sine mein
bhag jage to thokar khai jati hai

khamoshi se yakja karte hain khud ko
shor macha kar aag bujhai jati hai

hote hote raushan hota hai chehra
jate jate dil se koi jati hai

donon bhawon ki shiknen hath batati hain
apni tezi aankh banai jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close