rudad-e-shauq ye hai meri mukhtasar tamam ranaiyon mein kho gaya zauq-e-nazar tamam guzra hai gul-badan koi meri talash mein mahki hui hai aaj meri rahguzar tamam wo din bhi kya the jab thi hawaon se guftugu ab hum se baat karte hain diwar-o-dar tamam khud apna ehtisab gawara nahin unhen auron mein aib dhundte hain dida-war tamam tanhaiyan nasib ka unwan ban gain ek ek kar ke chhut gae ham-safar tamam hone lage hain meri khamoshi pe tabsire ab jaan le ke chhodenge ye chaaragar tamam kya soch kar chale the 'ziya' rah-e-shauq mein shayad na ho sake ye safar umr-bhar tamam