ruke hue hain jo dariya unhen rawani de

ruke hue hain jo dariya unhen rawani de
tu apne hone ki mujh ko koi nishani de

palat ke dekh lun tujh ko to sang ho jaun
mere yaqin ko aisi koi kahani de

main shah-kar hun tera to ai khuda ek din
ye muzhda aa ke mere ru-ba-ru zabani de

wo mere khwabon ko aankhon se chhin leta hai
use na shahr-e-tamanna ki hukmarani de

samundaron pe baras kar na ho fana baadal
jo log pyase hain un ke labon ko pani de

hai tang meri nazar mein ye kaenat teri
mere khuda mujhe idrak-e-la-makani de

main khali hath milun tujh se kis tarah yarab
kitab sine pe mere bhi aasmani de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close