ruKH-e-hayat hai sharminda-e-jamal bahut

rukh-e-hayat hai sharminda-e-jamal bahut
jami hui hai abhi gard-e-mah-o-sal bahut

gurez-pa hai jo mujh se tera visal to kya
mera junun bhi hai aamada-e-zawal bahut

mujhe har aan ye deta hai wasl ki lazzat
wafa-shanas hai tujh se tera khayal bahut

kitab-e-zist ke har ek waraq pe raushan hain
ye teri farda-nigahi ke khad-o-khal bahut

palat gae jo parinde to phir gila kya hai
har ek shakh-e-shajar par bichhe hain jal bahut

tumhein hai naz agar apne husn-e-sarkash par
to mera ishq bhi hai ru-kash-e-jamal bahut

azan-e-subh ki har lai ki tar tut gae
farogh-e-zulmat-e-shab ka hai ye kamal bahut

kisi bhi pyas ke mare ki pyas bujh na saki
samundaron mein to aate rahe uchhaal bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close