rukne ke liye dast-e-sitam-gar bhi nahin tha

rukne ke liye dast-e-sitam-gar bhi nahin tha
afsos kisi hath mein patthar bhi nahin tha

bahar jo nahin tha to koi baat nahin thi
ehsas-e-nadamt magar andar bhi nahin tha

jannat na mujhe di to main dozakh bhi na lunga
momin jo nahin tha to main kafir bhi nahin tha

lauta jo watan ko to wo raste hi nahin the
jo ghar tha wahan wo to mera ghar bhi nahin tha

anjam to zahir tha safen tut chuki thin
salar-e-muazzaz sar-e-lashkar bhi nahin tha

afsos qabile pe khula ghair ke hathon
sardar ke pahlu mein to khanjar bhi nahin tha

jo baat kahi thi wo bahut saf kahi thi
dil mein jo nahin tha wo zaban par bhi nahin tha

ye sach hai qasida na 'hilal' ek bhi likkha
ye sach hai ki main shah ka naukar bhi nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close