ruthna chaho to ab hargiz manane ka nahin dil ko mail kar liya aansu bahane ka nahin raste dhundla gae hain raushni walo suno wada jalne ka kiya tha timtimane ka nahin kashtiyan manjdhaar mein hain nakhuda naraaz hain aasmanon se kaho bijli girane ka nahin kab dhalegi sham-e-gham kab khatm hoga zulm-o-jabr zindagi insan ki hai unwan fasane ka nahin lo chale jate hain khali hath duniya se 'umid' yaad kar lena azizo bhul jaane ka nahin