sabab to kuchh bhi nahin aur udas rahta hai ye kaisa dard hai jo dil ke pas rahta hai mujhe pata nahin us ka magar ye sunta hun wo in dinon mere ghar ke hi pas rahta hai meri kitab ke auraq sab tumhaare hain jahan se dekho tera iqtibas rahta hai main katta hun har ek lamha karbala ki tarah labon pe pyas to dil mein hiras rahta hai main kal talak jise ek aankh bhi ye bhata tha usi ke dil mein mera ab niwas rahta hai 'nasim' nam ke us aadmi se milna tum na jaane har ghadi kyun bad-hawas rahta hai